Friday, August 28, 2009

Kar Kar- Kailasa (Chaandan Mein)

Yun toh teri yaad mein bhi swaad hai tera
Par aankhon ko manaau kis tarah

Hothhon ki majaal kya jo karein yeh sawaal
Par dil ko main samjaau kis tarah

Sat ya asat hai yeh main kya jaanu
Jaise saase tere bina huee gum

Kar kar main haara har jatan
Teri tadap teri hi lagan

Parda yeh jab hatt jaayega
Ambar ko dharti se milaaoonga main

Kar kar main haara har jatan
Teri tadap teri hi lagan

Bhoola bhoola khoya khoya bhatka phiru main
Teri chaah mein
Tak tak ankh murjhaayi pathraai
Teri raah mein

Aankhon mein meri jo samaayega

Aankhon mein meri jo samaayega
Pankh bina hi udd jaaoonga main

Kar kar main haara har jatan
Teri tadap teri hi lagan

Kabhi kabhi dhoop kabhi chhaanw tu hi hai
Pehchaan loon
Yaa toh mujhe hansaa banaa le
Toh main tujhe jaan loon

Khushbhoo se jo tu baahar aayega

Khushbhoo se jo tu baahar aayega
Suraj ko godd mein khilaaoonga main

Kar kar main haara har jatan
Teri tadap teri hi lagan

Parda yeh jab hatt jaayega
Ambar ko dharti se milaaoonga main

Kar kar main haara har jatan
Teri tadap teri hi lagan

No comments:

Post a Comment