Jaagu main saari saari raat
Teri yaad mein
Kisko sunaau fariyaad
Teri yaad mein
Jaanu naa tere sivaa
Koi baat teri yaad mein
Jaagu main saari saari raat
Teri yaad mein
Bhool gayi sajna main savarna
Rang padaa mera phikha
Bhaai koi sang na jawar na
Bhugat na phal karni ka
Tadap tadap ke
Vilap vilap ke
Kho doongi jab pran
Surga main hogi mulakaat
Teri yaad mein
Kisko sunaau fariyaad
Teri yaad mein
Jaagu main saari saari raat
Teri yaad mein
Moond ke baith gayi hoon main ankhiyaan
Tum aao toh kholu
Ghar aangan galiyaan
Har kona
Tumko samajh tatolu
Tumhara aana
Jeevan paana
Bhook mitey aur pyaar
Khushiyon ki hovey barsaat
Teri yaad mein
Jaanu naa tere sivaa
Koi baat teri yaad mein
No comments:
Post a Comment